Ads 468x60px

Showing posts with label Bewafai. Show all posts
Showing posts with label Bewafai. Show all posts

Friday, 8 November 2013

SuLa Raha Tha Na Be-daar Kar Saka Tha Mujhe,



SuLa Raha Tha Na Be-daar Kar Saka Tha Mujhe,
.
W0h Jese Khuwab Mei Mehs0os Kar Raha Tha Mujhe,
.
Yahi Tha Chand Aur Is Ko Gawaah Thehra Kar,
.
Zara Sa Yaad To Kar, Tu Ne Kya Kaha Tha Mujhe,
.
Tamaam Raat Meri Khawab-Gah R0shan Thi,
.
Kisi Ne Khawab Mein Ik Ph0ol Dia Tha Mujhe,
.
W0 Din Bhi A'ey K Kh0shbu Se Meri A'nkh Khuli,
.
Aur Ik Rang HaQeeQat Mei Chhu Raha Tha Mujhe,
.
Mai Apni Khaak Pe Kaisay Na L0at Kar A'ti,
.
B0ht Qareeb Sy K0i Pukarta Tha Mujhe,
.
Dar0on-E-Khema' Hi Mera Qyaam Rhna  Tha,
.
To Meer-E-Foajj Ne Lashkr Mein Q Lia Tha Mujhe ...!

SuLa Raha Tha Na Be-daar Kar Saka Tha Mujhe,



SuLa Raha Tha Na Be-daar Kar Saka Tha Mujhe,
.
W0h Jese Khuwab Mei Mehs0os Kar Raha Tha Mujhe,
.
Yahi Tha Chand Aur Is Ko Gawaah Thehra Kar,
.
Zara Sa Yaad To Kar, Tu Ne Kya Kaha Tha Mujhe,
.
Tamaam Raat Meri Khawab-Gah R0shan Thi,
.
Kisi Ne Khawab Mein Ik Ph0ol Dia Tha Mujhe,
.
W0 Din Bhi A'ey K Kh0shbu Se Meri A'nkh Khuli,
.
Aur Ik Rang HaQeeQat Mei Chhu Raha Tha Mujhe,
.
Mai Apni Khaak Pe Kaisay Na L0at Kar A'ti,
.
B0ht Qareeb Sy K0i Pukarta Tha Mujhe,
.
Dar0on-E-Khema' Hi Mera Qyaam Rhna  Tha,
.
To Meer-E-Foajj Ne Lashkr Mein Q Lia Tha Mujhe ...!

Friday, 25 October 2013

Us Bewafa se kehna ik yaar tha Tumhara.

Us Bewafa se kehna ik yaar tha Tumhara.

Tum Zindagi thay uski wo pyar tha Tmhara.

kehte the Tum Mujhe ye main Jaan hn Tumhari.

Tum Chandni ho meri Main Chand hn Tumhara.

Hum sath hi Jeeyen ge. Hum sath hi Marain ge.

Tujhe yaad bhi hai Humdam Wada tha ye Tumhara.

Tum chor gaye Mujh ko. Dharkan me Tum basay ho.

Ye Dil dharakta hai to leta hai naam Tumhara.

Wednesday, 23 October 2013

Tujh Se Dil Ke Baat Kahon Kis Tarha


Tujh Se Dil Ke Baat Kahon Kis Tarha
Tu Meri Jan Hai Tujhy Btaon Kis Tarha,

Tu Anjan Hai Ya Ban Raha Hai
Yeh Andaza Lagaon Kis Tarha,

Muqaddar Se Miqadar Milana To Dor Ki Baat
Tere Dil Se Dil Milaon Kis Tarha,

Tu Mily Na Mily Yeh Qismat Ke Baat Hai Magar
Tujhe Chaaha Hay Tujhe Bhol Jaon Kis Tarha.

Thursday, 17 October 2013

Hijar ki bad-dua na hojana.

Hijar ki bad-dua na hojana.Dekh lena saza na hojana.
Mor to beshumar aain gey.
Thak na jana, Juda na hojana.
Be irada safar peh nikley ho.
Rastoon ki hawa na hojana.
Ishq ki intaha nahi hoti.
Ishq ki intaha na hojana.
Aik Tum hi ko Khuda say manga hai.
Tum Kaheen Bewafa Na Hojana.

Kb Laot K Aao Gy Bata Q Nahi Dety,

Kb Laot K Aao Gy Bata Q Nahi Dety,
Deewar Bahano Ki Gira Q Nahi Dety,
Tum Paas Ho Mery To Pata Q Nahi Chalta,
Tum Door Ho Mujh Se To Sada Q Nahi Dety,
Ek Tery Siwa Or Kisi Ko Bhi Na Chaha,
Ye Baat Zamany Ko Bata Q Nahi Dety,
Baher Ki Hawaaon Ka Agr Khauf Hai Itna,
Jo Roshni Andar Hai Bujha Q Nahi Dety,
Raaton Ko Jaagny Ki Saza Dety Ho Aksr,
Tum Humko Wafaaon Ka Sila Q Nahi Dety.

Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye,

Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye,

Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye,

Kat'ti nahin yeh zindagi umeed ke bagher,

Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye,

Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de,

Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye,

Dunya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoon,

Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye,

Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat,

Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye…

Labon pe haraf na sawal rakhta tha




Labon pe haraf na sawal rakhta tha
Kabhi main zabat main itna kamal rakhta tha

Khabar kahan thi mujhe hi wo bhool jaye ga
Ek ek cheez meri jo sambhal rakhta tha

Bichertey waqat bazahar to kuch na bola tha
Magar nigha main so so sawal rakhta tha

Wo muskura ke bohat dair chup raha
Jase hansi ki ar main malala rakhta tha

Suna hai ab bhi log use bohat satate hain
Jis aik shaks ka main bohat khuyal rakhta tha


Hum ko Lota Hai Usi Shehr Ne Ae Jan E Wafa



Hum ko Lota Hai Usi Shehr Ne Ae Jan E Wafa
Jis Ki Galion Mein Mhabat Ka Kuch Hisab Na Tha

Woh Jo Rehte Thay Mere Sath Hamesha Din Bhar
Un K Mazhab Mein Wafaon Ka Koi Baab Na Tha

Wo Jo Ankhon Mein Mhabat Ko Liye Phirte Thay
Un K Dil Mein Thee Woh Nafrat K Kuch Hisab Na Tha

Mein Ne Jisko B Musebat Mein Maseha Jana
Jo Diya Usne Bara Us Se Kuch Azab Na Tha

Mjhe Khayal Tha Ye Log Mere Apne Hein
Mgr Wahan Pe To Aisa Koi Rewaj Na Tha


Pata hai , muntazir rehna buhaat takleef deta hai.


Pata hai , muntazir rehna buhaat takleef deta hai.

Bata kar hi chalay jaatay agar jaana zaroori tha.

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko



Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho tere yaad mai kho jatay hain
Ab toh khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
aik saith hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray toh ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni rahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain

Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko

Usy Ganwa K Mai Zinda Hoon Ess Tarah



Usy Ganwa K Mai Zinda Hoon Ess Tarah.

K Jaisy Taiz Hawa Mai Charagh jalta Ho.

Hum Hi Wafa Shikan Thy

Hum Hi Wafa Shikan Thy Chalo Hum Hi Bewafa.

Tum To Wafa Shanas Thy Tum Kiyun Badal Gaye.

Ro para wo shaks Aj ''ALviDa" kehty kehty.

Ro para wo shaks Aj ''ALviDa" kehty kehty.

Meri shararton py jo deta tha dhamkiyan JUDAI ki.

Ye dharkan to bikhr jati hai sirf lafzon ki chot se.

Hasas dharkano ko torne k liye zarorat nahi JUDAI ki.

Wafa hai khasaron ki Tijarat dekhtay jao.

Barry Onchy suron me bt krty ho JUDAI ki.

Jo apni zaat se barh kar kisi se pyar karte hain.

Wohi Mehsoos krte hain saza zoq-e-JUDAI ki

Us Bewafa se kehna ik yaar tha Tumhara.

Us Bewafa se kehna ik yaar tha Tumhara.

Tum Zindagi thay uski wo pyar tha Tmhara.

kehte the Tum Mujhe ye main Jaan hn Tumhari.

Tum Chandni ho meri Main Chand hn Tumhara.

Hum sath hi Jeeyen ge. Hum sath hi Marain ge.

Tujhe yaad bhi hai Humdam Wada tha ye Tumhara.

Tum chor gaye Mujh ko. Dharkan me Tum basay ho.

Ye Dil dharakta hai to leta hai naam Tumhara

Hum Bewafa Hargiz Na The.



Hum Bewafa Hargiz Na The.
Par Hum Wafa Kar Na Sake.
Hum ko Mili Uski Saza.
Hum Jo Khata Kar Na Sake.

Hum Bewafa Hargiz Na The
Par Hum Wafa Kar Naa Sake

Kitni Akeli Thi Woh Rahen Hum Jin pe
Ab Tak Akele Chalte Rahe.
Tujhse Bichar K Bhi O Bekhabar.
Tere Hi Gham Mein Jalte Rahe.
Tune Kiya Jo Shikwa.
Hum Woh Gila Kar Na Sake.

Hum Bewafa Hargiz Na The
Par Hum Wafa Kar Naa Sake

Tumne Jo Dekha Suna Sach Tha Magar.
kitna Tha Sach Yeh Kisko Pata.
Jaane Tumhe Maine Koi Dhokha Diya.
Jaane Tumhe Koi Dhokha Hua.
Is Pyaar Mein Sach Jhooth Ka.
Tum Faisla Kar Naa Sake.

Hum Bewafa Hargiz Na The.
Par Hum Wafa Kar Naa Sake.

Rahiye Ab Aisi Jagah Chalkar Jahaan Koi Na Ho



Rahiye Ab Aisi Jagah Chalkar Jahaan Koi Na Ho
Hamsukhan Koi Na Ho Aur Hamzabaan Koi Na Ho

Bedar-O-Deewar Saa Ik Ghar Banaya Chahiye
Koi Hamsaaya Na Ho Aur Paasbaan Koi Na Ho

Padiye Gar Beemar To Koi Na Ho Timaardaar
Aur Agar Mar Jaaiye To Nauhakhvaan Koi Na Ho

Rone Se Aur Ishq Main Bebaak Ho Gaye
Dhoe Gae Ham Aise Ki Bas Paak Ho Gaye

Sarf-E-Baha-E-Mai Hue Aalat-E-Maikashi
The Ye Hi Do Hisaab So Yon Paak Ho Gaye

Rusva-E-Dahar Go Hue Aavargi Se Tum
Baare Tabiyaton Ke To Chalaak Ho Gaye

Kahta Hai Kaun Nalaa-E-Bulbul Ko Beasar
Parde Main Gul Ke Laakh Jigar Chaak Ho Gaye

Kabhi Ye Daawa K Wo Mera Hai Faqat Mera



"Kabhi Ye Daawa K Wo Mera Hai Faqat Mera"
.
Kabhi Ye Dar K Wo Mujh Se Juda To Nahin,
.
Kabhi Ye Dua
K Usey MiL Jayein
Sarey Jahan Ki Khushiyaan,
.
Kabhi Ye Khof
K Wo Khush
Merey Bina To Nahin,
.
Kabhi Ye Tamnna
K Bas Jaoon Us Ki Nigahoon Mein,
.
Kabhi Ye Dar K
K Us Ki Aankhoon Ko
Kisi Ne Dekha To Nahin,
.
Kabhi Ye Khawahish K Zamana Ho Muntzir Us Ka,
.
Kabhi Ye Veham
K Wo Kisi Se
MiLa To NaHiN,
.
Kabhi Ye Aarzoo
K Wo Jo Mangey
MiL JayE Usey,
.
Kabhi Ye Wass_Wassa
K Us Ne Merey Siwa Kuch Maanga To Nahin"

Meri Zindagi k Tewar Mere Hath Ki Lakirein



Meri Zindagi k Tewar Mere Hath Ki Lakirein

Inhain Kash Tum Badalte To Kuch Aur Baat Hoti

Me Hi Tera Aina Tha Me Hi Tera Aina Houn

Mujhe Dekh Kar Sanwarte To Kuch Aur Baat Hoti

Abhi Aankh Hi Lari Thi k Gira Diya Nazar Se

Zara Faasle Jo Ghatte To Kuch Aur Baat Hoti

Yeh Khule Khule Se Gaisu Inhain Laakh Tum Sanwaro

Mere Hath Se Sanwarte To Kuch Aur Baat Hoti

Mujhe Apni Zindagi Ka Koi Gham Nahi Hai Lekin

Tere Bazuon Me Marte To Kuch Aur Baat Hoti,,,
 
Blogger Templates