Ads 468x60px

Showing posts with label Daag Dehlvi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Daag Dehlvi Poetry. Show all posts

Thursday, 17 October 2013

Rasm-e-Ulfat Sikha Gaya KoiDil Ki Duniya Pe Chhaa Gaya Koi



Rasm-e-Ulfat Sikha Gaya Koi
Dil Ki Duniya Pe Chhaa Gaya Koi

Ta Qayaamat Kisi Tarah Na Bujhay
Aag Aisi Laga Gaya Koi

Dil Ki Duniya Ujri Si Kyun Hai ?
Kia Yahan Se Chala Gaya Koi

Waqt-e-Rukhsat Galay Laga Kar
“Daagh”
Hanste Hanste Rula Gaya Koi

Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-YaarHota



Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar
Hota
Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil
Nisaar Hota
Na Mazaa Hai Dushmani Main Na
Hai Lutf Dosti Main
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota
Ye Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar
Aag Lagti
Na Tumhen Qaraar Hota Na Hamein
Qaraar Hota
Tere Waade Par Sitamgar Abhi Aur
Sabr Karte
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar
Hota

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke JeeJaanta Hai



Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee
Jaanta Hai
Ranj Bhee Aisay Uthaaye Hain Ke Jee
Jaanta Hai
Jo Zamaanay Ke Sitam Hain Wo
Zamaana Jaanay
TU Ne Dil Itnay Sataaye Hain Ke Jee
Jaanta Hai
Muskuraatay Howay Wo Majmaa-e-
Agyaar Ke Saath
Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ke Jee
Jaanta Hai
Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayeen
Dono Aankhain
Aisay Jalway Nazar Aaye Hain Ke Jee
Jaanta Hai
Dosti Mein Teri Dar-Pardah
Hamaaray Dushman
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ke Jee
Jaanta Hai
Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere
Koochay Se
Is Tarah Khainch Ke Laaye Hain Ke
Jee Jaanta Hai
 
Blogger Templates