Ads 468x60px

Showing posts with label Mohabbat Poetry. Show all posts
Showing posts with label Mohabbat Poetry. Show all posts

Wednesday, 23 October 2013

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi


Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi
Zabaan Pe Qissa-e-Ghum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi,

Kabhi Hasna Kabhi Rona, Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena
Ajab Dil Ka Yeh Alam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi,

Kabhi Aankhon Hi Aankhon Me Woh Baaton Ka Bata Dena
Kabhi Takraar Baham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi,

Saturday, 19 October 2013

Khuda Jab Hussn Deta Hai, Nazakat Aa Hi Jaati Hai,

Khuda Jab Hussn Deta Hai, Nazakat Aa Hi Jaati Hai,
Bachna Lakh Chahoon, Samne Qayamat Aa Hi Jaati Hai.
Hai Mera Haal Kuch Aisa, Shehr Mein Inn Dino Aye Dost,
Mere Ghar Pohuchne Se Pehle Shikayat Aa Hi Jati Hai.
Na Wo Pehli Si Baaten Hai, Na Woh Pehla Sa Aapnapun,
Suna Hai Hussn Ke Nikharne Pe, Yeh Aadat Aa Hi Jati Hai.
Kai Baar Socha Kar Do Uss Zalim Ko Mein Ruswaa,
Is Faisle K Beech Kambakht Sharafat Aa Hi Jaati Hai.

Behke Behke Huwe Andaaz-e-Bayan Hote Hain,

Behke Behke Huwe Andaaz-e-Bayan Hote Hain,
Aap Hote Hain To Phir Hosh kahan Hote Hain,
Hont Paband Hain Mafhum Bayan Hote Hain,
Koi Samjhe To Yeh Aansu Bhi Zubaan Hote Hain,
Yaad Hai Teri Nigaahon ka Badalna Mujhko,
Aise Andaaz Qayamat Mein Kahan Hote Hain,
Kyun Shab-e-Gham Na Jalaun Teri Yaadon Ke Charagh,
Unse Roshan Meri Manzil Ke Nishan Hote Hain,
Gham Hai Baqi To Kisi Roz Khushi Bhi Hogi,
Phool Bhi Khaar K Pehlu Mein Jawaan Hote Hain.

Hum To Saaya Tera Ban Jayen Agar Tu Chahe




Hum To Saaya Tera Ban Jayen Agar Tu Chahe
Ya Kabhi Bhi Na Nazar Aaye Agar Tu Chahe

Tu Jo Chahe To Sar-E-Aam Karein Ehd-E-Wafa
Yunhi Duniya Se Guzar Jaye Agar Tu Chahe

Tujh Se Milne Mein Toh Jaanan Teri Ruswaayi Hai
Hum Teri Yaad Se Mil Aaye Agar Tu Chahe

Tu Jo Keh De Toh Pukaare Sar-E-Bazaar Tujhe
Ajnabi Ban Ke Guzar Jaaye Agar Tu Chahe

Zindagi Jilein Agar Teri Ijaazat Mil Jaaye
Teri Chokhat Pe Hi Mar Jaye Agar Tu Chahe

Tu Jo Chahe Toh Zamaane Ke Sitam Yunhi Sahen
Saari Duniya Se Bhi Takrayein Agar Tu Chahe

Abhi tak saada rakha hy



Abhi tak saada rakha hy ye kaghaz apni chahat ka..
Munasib jab bhi samjhen ge koi pegham likh denge..
.
Koi pegham kya likhna hy ek chhote se kaghaz par..
Jisse hum chahte hain bas ussi ka naam likh denge

Aankhon Mein Saja Ker Khuwab Tere




Aankhon Mein Saja Ker Khuwab Tere Mein Jhoomti Rehti Hoon

Tera Naam Hatheli Per Likh Ker Usay Choomti Rehti Hoon

Tera Pyaar Mere Dil Per Jis Din Say Chaya Hai

Tujhay Mein Nai Apne Paas Hamesha Paya Hai

Tera Dhoka Ho Mujhay Dharkan Ki Aawazoon Per

Tera Saya Daikhoon Deewaron, Darwazoon Per

Yeh Sub Kuch Jhoot Nahi Hai Mein Sach Kehti Hoon

Aankhon Mein Saja Ker Khuwab Tere Mein Jhoomti Rehti Hoon

Tera Naam Hatheli Per Likh Ker Usay Choomti Rehti Hoon

Aa Preet Nagar Ki Rung Rangeeli Raahon Mein

Tujhay Manzil Tak Pohcha Doon Apni Baahon Mein

Meri Baahon Ka Yeh Jhoola Aisa Jhoola Hai

Jisay Jhol Ke Her Ik Dunya Ka Gham Loola Hai

Mein Nayya Bun Ker Prem Nagar Mein Behti Hoon

Aankhon Mein Saja Ker Khuwab Tere Mein Jhoomti Rehti Hoon

Tera Naam Hatheli Per Likh Ker Usay Choomti Rehti Hoon

Tu Haar Na Jana Is Dunya K Haathon Say

Mat Marjana Is Ki Zehreeli Baaton Say

Mere Paoon Ne Jab Say Pyaar Ki Payal Bandhi Hai

Mere Deep K Ajay Bujhi Bujhi Her Aandhi Hai

Ub Pyaar Mein Jo Dukh Aaye Hans Ker Sehti Hoon

Aankhon Mein Saja Ker Khuwab Tere Mein Jhoomti Rehti Hoon

Tera Naam Hatheli Per Likh Ker Usay Choomti Rehti Hoon

Hamary bas main hota to


Hamary bas main hota to
Tumhain bahoon main bhar letay

Tumhain aankhon main rakh letay
Kabhi na roothny detay
kabhi na tootny detey
'Hamary bas main hota to

Tumhain hum qaid kar letay
Bas apny dil ki duniya main
Kisi bhi haal main hum phir
Tumhain azad na karty
Sabhi duniya bhula detay
Tumhain apna bana letay,

Hamary bas main hota to
Magar hai bebasi aisi
Hamara dil machalta hay
Tumhain hi Yaad Kerta hay
Tumhara Qurb chahta hay
Magar Ham Kya Karen Jana
Hamara bas nahi chalta.

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde

Use Mera Ya Mujhe Uska Karde


Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde


Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kum Karde


Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde


Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe FANAA Karde

Bas Ek Choti Si Haan kr Do,

Bas Ek Choti Si Haan kr Do,

Mere Naam Is Tarha saara Jahan Kar Do.

Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil me Hain,
Un ko Zuban Par Lao 0r Bayan Kar Do.

Aaj Bas Tum Kaho 0r Kehty Hi Jao,

Me Bas Sunu Aisa By-Zuban Kar Do.

Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,

Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kar Do,

Aa-Jao K Aisa Toot Kr Chahon Tumain,

Meri Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do.

Apne Dil Mein Is Tarha Chupa Lo Muhj Ko,

Rahun Humesha Is me aisa, Mera Makan kar do.

Agr Mil Sakay To Wafa Chahiye

Agr Mil Sakay To Wafa Chahiye

Humain Kuch Na Tere Siwa Chahiye

Boht Be-Sakon Hain Hum Tere Bin

Humain Zindgi Ki Dua Chahiye

Kahain B Chala Jaon Palat Aonga Me

Mujhe Bus Teri Ek Sada Chahiye

Ho Takmel Jis Se Meri Zaat Ki

Baharon Ki Aysi Hawa Chahiye

Mujhe Tere Dil Me Ay Jan-E-Wafa

Agr Mil Sakay To Jagha Chahiye

Kahan Tak Bhala Me Nibhaon Wafa

Kabhi To Mujhe B Sila Chahiye.

Agr Muhabat Yahi Hai Jana.! To Maaf Krna Mujhe Nahi Hai

Libaas Tan Se Utaar Dena,
Kisi Ko Bahon K Haar Dena,
Phir Uske Jazbon Ko Maar Dena,

Agr Muhabat Yahi Hai Jana! To Maaf Krna Mujhe Nahi Hai

Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Daboch Lena,

Kisi Ko Lafzon K Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchaal Dena,

Agr Muhabbat Yahi Hai Jana! To Maaf Krna Mujhe Nahi Hai

Andhair Nagri Mein Chalte Jana,
Haseen Kaliyan Masalty Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,

Agr Muhabbat Yahi Hai Jana! To Maaf Krna Mujhe Nahi Hai..


Karni Ho Mohabbat To Phir Socha Nahi karte,

Karni Ho Mohabbat To Phir Socha Nahi karte,

Anjam Ho jaisa Bhi ye Dekha Nahi karte,.

Himmat Na Ho larnay ki To Ae jan-e-wafa Sun,

Yun ishq k Maidan Mein utra Nahi karte,

Ae kaash koi Zamane ko itna hi Bata De,

K Behtay Howe Dariyaon ko Roka Nahi karte,

Hote Hain khuddar wohi log jahan mein,.

Jo Mar jatay Hain Magar Apne Pyar Se Dhoka Nahi karte.

Mohabbat Ki Kahani Me Koi Tarmeem Mat Karna.



Mohabbat Ki Kahani Me Koi Tarmeem Mat Karna.

Mujhe Tum Tor Dena Pr Mujhe Taqsem Mat Karna,

Zamanay K Dukhon Ko Main Seh Lon Ga Zabat Kr K.

Magr Tum Bhool Jane Ki Kabhi Talqeen Mat Karna,

Main Tum Se Pyar Karta Tha. Main Tum Se Pyar Karta Hon.

Be’wafa Keh Kar Mujh Ko Meri Toheen Mat Karna

Yunhi Ajnabi Na Bana karo kabhi Muskora k Mila kro.

Yunhi Ajnabi Na Bana karo kabhi Muskora k Mila kro.

Kbi Sun To lo Mera hal-e-dil kbi Mujse koi Gila kro.

Teri ik Nazar Teri ik
Ada Mere dil ko kr Diya lapata.

Mere Dost Mere Ham-nawa Mere dil ka koi pata kro.

Ye Tariq-e-ISHQ hai kuch To ho.

Ya Wafa kro, ya jafa kro

Koi fesla Mere Mehrban

Koi Rasm Tum Bhi Ada kro.

Na hi zeest ka koi Raasta Na hi khud-kushi ka hai hosla.

Mujhe pyar do.
Mujhe Mar do.
koi kam Tum Bhi kiya kro.

Tere “KHYAL” ko “DIL” se kabi Juda na karoon.



Tere “KHYAL” ko “DIL” se kabi Juda na karoon.

Tere Bagher to mein “SAANS” bhi Liya na karoon.

Jo tu Mila to mujhe Mashwara diya “DIL” ne.

K Ab “KHUDA” se koi or “ILTEJA” na karoon.

Mujhy Yaqeen hai k “SURAJ” kabi “TALOU” na ho.

Jo tere “NAAM” se mein “DIN” ki “IBTEDA” na karoon.

WAFA” ki Rahon mein Rakh to diya hai mein ne “QADAM.

Ab apni “JAAN” b Jaye tu mein “GILA” na karoon.

Tere Naam Se Apna Naam Jhoor Loon Aye Sanam,



Tere Naam Se Apna Naam Jhoor Loon Aye Sanam,

Teri Sansoon Se Apni Sanseen Jhoor Loon Aye Sanam,

Thaam Loon Hathoon Mein Hath Yunhi Umar Bhar,

Zindagi Ki Sham Ho Jaye Teri Bahoon Mein Aye Sanam.


Shafaq ki jheel ma jb sang-e- aftaab giry

Shafaq ki jheel ma jb sang-e- aftaab giry

Hamare ghar pe siyah raat k azaab giry
..
Kahin to gerdish -e-ayyam thak k saans bhi ly

Kabhi to khema -e-aflaak ki tnaab giry
..
Kisi k rayegan ashkon ka kuch hisab to kr

Falak sy yun to sitaray bhi behisaab giry
..
Kahin to silsla-e-intzaar khatm bhi ho

Kisi trha to ye deewar-e-iztraab giry

Ghazl k roop ma wo rubru jo ho
SAhir,
Labon sy lafz urrain, haath sy kitaab giray..

Main Tujh Se Kisi Roz Mangwaon Tasveer Ter¡

Main Tujh Se Kisi Roz Mangwaon Tasveer Ter¡_

Ya khud kisi kaghaz Pe Banaon Tasveer Ter¡_

Tanhai k Lamhat Main Baatain karon Us Se_

Chumon kabhi Seenay Se Lagaon Tasveer Ter¡_

Dekha karon Parhne k Bahane Main_

Apni kitabon Main Chupaon Tasveer Ter¡_

Takte Huwe So Jaon kabhi Seenay Pe Rakh k,

Betabi Se Bahon Main Dabaon Tasveer Ter¡_

Rakhon Usay Dunya ki Nigahon Se Bacha k,

Aankhon k Jharokon Main Sajaon Tasveer Teri.

Ho saky to karo khud men kashish paida





Ho saky to karo khud men kashish paida
Har kisi ko hasrat se dekha nahen karty

Har shakhs nahen hota har shakhs k qabil
Har kisi ko apne liye parkha nahen karty

Mujh ko pana hy to mujh mein utar kar dekho
Yun kinaron se samundar ko dekha nahi krte

Maghrur kehti hy to kehti rahe dunya
Hum har kisi ko mur kar dekha nahen karty

Pal ki khushi ki khatir kisi k jism ka qurb mat mango
Jise choo liya jaye use pooja nahi karte !!

Bohot masoom hasrat hai



Bohot masoom hasrat hai
Batao kya kiya jaye?

Hamain Tum se muhabbat hai Batao Kya kiya jaye?

Jo Suraj dobta hai Dil bhi apna Doob jata hai

Ajab si apni HalaT hai
Batao kya kiya jaye?

Tumhain paney ki khawahish kab Hamari apni hai Jana

Dil-e-Nadan ki Chahat hai Batao kya kiya jaye
 
Blogger Templates