Ads 468x60px

Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts

Friday, 25 October 2013

Wo Rut Bhi Aai K Main Phool Ki Saheli Hoi,




Wo Rut Bhi Aai K Main Phool Ki Saheli Hoi,
Mehak Mein Champa'kali  Roop Mein Chambeli Hoi,

Main Sard Raat Ki Barkha Se Kion Na Pyaar Karo'n,
Yahi Rut To Hai, Mere Bachpan K Saath Kheli Hoi,

Zameen Pe Paao'n Nahin Parh Rahe Takabur Se,
Nigaar-e-Gham, Koi Dulhan, Nai Naweli Hoi,

Wo Chaand Ban K Mere Saath Saath Chalta Raha,
Main Us K Hijr Ki Raato'n Mein Kab Akeli Hoi,

Jo Harf-e-Saada Ki Soorat Hamesha Likhi Gai,
Wo Larki Tere Liye Kis Tarah Paheli Hoi.

Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar



Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon,
Teri awaaz ka chehra main chuu kar dekh sakti hoon,

Abhi tere labon pe zikar fasl-e-gul nahin aya,
Magar ik phool khilte apne andar dekh sakti hoon,

Kinaara dhoondne ki chaah tak mujh mein nahin hogi,
Main apne gird aik aesa samandar dekh sakti hoon,

Vasaal-o-hijar apne yaksaan hain, woh manzar hai chahat me,
Main aankhain band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hoon,

Abhi tere siwa duniya bhi hai maujood is dil me,
Main khud ko kis tarah tere barabar dekh sakti hoon..

Mere Wajood Ki JaGeer USS Ne Mangi hai,



Mere Wajood Ki JaGeer USS Ne Mangi hai,

Ajab Khawab Ki Tabeer Us Ne Mangi hai,

Uss Ki Qaid Me Rehti Hoon Main Pehle B,

Na'jane Phir Q Zanjeer Us Ne Mangi hai?

Gumaan Hota ha Wo Bhool Sakta hai mujhe,

Q K Aaj Meri Tasveer Us Ne Mangi hai,

Mere KHUDA Mujhe Us K Naseeb Mein Likh De,

K Mujh Se Meri TaQ'Deer Us Ne Mangi hai...
 
Blogger Templates