Ads 468x60px

Showing posts with label Qateel Shafi. Show all posts
Showing posts with label Qateel Shafi. Show all posts

Friday, 25 October 2013

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,

Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,

Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,

Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,

Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi
,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,

Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,

Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,

Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,

Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,

Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,

Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,

Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,

Woh mussawar meri tasveer bananey aye..

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,

Zara se lafzz me kitna paighaam likha hai,

Yeh teri shaan ke shayaan nahin lekin majboori,

Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai,

Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se,

Labon ko pankhrri*, zulfon ko main ne shaam likha hai,

Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,

Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,

Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,

Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,

Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon,

Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai.

Kiya hai pyar jisey hamne zindagi ki tarah.



Kiya hai pyar jisey hamne zindagi ki tarah.
woh ashna bhi mila Hum se ajnabi ki tarah.

kise khabar thi barhey gi kuch aur tareeki.
chupay ga woh bhi kisi badli me chandni ki tarah.

barha ke pias meri usney haath chor dia.
woh kar raha the muhabbat bhi dil lagi ki tarah.

sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka apna.
qabool Hum ne kiye jis ke gham khushi ki tarah.

kabhi na socha tha Hum ne qateel us ke liye.
karey ga Hum pe sitam woh bhi har kisi ki tarah.

Jub Tasawur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhu Aaye



Jub Tasawur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhu Aaye.
Apni Har Saans Se Mujh Ko Teri Khushbu Aaye.

Mashgala Ab Hai Mera Chaand Ko Taktay Rehna.
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehlu Aaye.

Jub Kubhi Gardish-e-Douraan Ne Sataya Mujh Ko.
Meri Janib Tere Phailay Howay Bazo Aaye.

Jub Bhi Socha Ke Shab-e-Hijr Na Hogi Roshan.
Mujh Ko Samjhanay Teri Yaad Ke Jugnu Aaye.

Mujh Se Milnay Ko Sar-e-Shaam Koi Saaya Sa.
Tere Aangan Se Chalay Aur Lab-e-Juu Aaye.

Os Ke Lehjay Ka Asar To Hai Bari Baat “Qateel”
Wo To Aankhon Se Bhi Karta Howa Jado Aaye.

Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun



Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun
Jab Tais Koi Chamkay Mein Tujhko Dikhai Dun

Jis Roz Kubhi Tera Deedaar Na Ho Paaye
Mein Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhai Dun

Magroor Hai TU Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar ?
TU Chaahay Tou Mein Tujhko Tan Man Ki Khudaai Dun

Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Karay Mujhko
Mein Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunaai Dun

Ik Umer Ke Baad Apnay Chit Chor Ko Pakra Hai
Mein Kaisay Qateel Osko Baanhon Se Rihaayi Dun

Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay



Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay Kahan Jaatay ?
Jo Waabasta Howay Tum Se Wo Afsaanay Kahaan Jaatay ?

Nikal Kar Dair-o-Kaaba Se Agar Milta Na Maikhaana
Tou Thukraaye Howay Insaan Khuda Jaanay Kahaan Jaatay ?

Tumhaari Be-Rukhi Ne Laaj Rakh Li Baadaah Khaanay Ki
Tum Aankhon Se Pila Daitay Tou Paimaanay Kahaan Jaatay?

Chalo Acha Howa, Kaam Aagayi Deewaangi Apni
Wagarna Ham Zamaanay Bhar Ko Samjhaanay Kahaan Jaatay ?

“Qateel” Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota
Tou Apnay Paraaye Hum Se Pehchaanay Kahaan Jaatay.

Ishq MainQalb-o-Jigr Bhi Na Hmary Nikly,

Ishq Main
Qalb-o-Jigr Bhi Na Hmary Nikly,

Jo B Nikly Wo Traf'dar Tumhary Nikly

Ktny Aashiq Hwy Qurban Tujhy Maloom Nahin

Ktny Zalim Tri Nzron K Ishary Nkly

Tere darya-e-Mohabat Main Mohabat Se Kbhi

Dobny Waly Jo Doobay Na Kinary Nikly

Kitna Mushkil tha
Gham-e-Doran Se Niklna Lekin,

Hum Jo Nikly To Faqat Un K Sahary Nikly,

Un ka shehr chor k jane ka jb howa faesla  Ae'"Qateel"'

Hm Ghar Se roty Huwy Bin Zulf Sanwary Nikly.
 
Blogger Templates